Kuch bhi bole bina smjhna hai ek adaa.. Aur bol k b naa smjhna bhi hai ek aur adaa.. Sath naa reh k bhi sath rehna hai ek adaa.. Aur sath ho k b paas naa rehna bhi hai ek aur adaa... Saamne na reh k aankhon me rehna hai ek adaa... Aur aankho me naa reh k bhi zehan me rehna bhi hai ek aur adaa... Chupna, dikhna, chup reh k dekhte rehna hai ek adaa.. Aur naa sun k, sunna fir sunte rehna bhi hai ek aur adaa..